Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan,


Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan,
Mare Khaamoshi Ko Sadaa Na Day,

Jo Tare Baghair Na Jee Sake,
Use Jeene Ki To Duaa Na Day,

To Azeez Dill-o-nazar Se Hai,
To Qareeb Rag-o-jaan Sai Hai

Mare Jism-o-jaan Ka Yeh Faasla,
Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day,

Tujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon,

Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar,
Meri Chahatoon Ka Silaa Na Day,

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi,
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,

Jo Bujha Sake To Bujha esey,
Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De,

Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein,
Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day,


 


Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar ,
Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day