Gham-E-Aashiqi Se Keh Do Rah-E-Aam Tak Naa Pohenche

Mujhe Khouf Hai Yeh Tohmat Mere Naam Tak Naa Pohenche

Nayi Subha Par Nazar Hai Magar Aaah Yeh Bhi Darr Hai

Yeh Saher Bhi Rafta Rafta Kahin Shaam Tak Naa Pohenche

Ye Aada-E-Beniyazi Tujhe Bewafaa Mubarak


 


Magar Aisi Beruqi Kya Ke Salaam Tak Naa Pohenche