aahista chal zindagi, abhi kai karz chukana baaki hai
kuch dard mitana baaki hai, kuch farz nibhana baaki hai
raftaar mein tere chalne se kuchh rooth gaye, kuch chhoot gaye
roothon ko manana baaki hai, roton ko hasana baki hai
kuch hasraatein abhi adhuri hain, kuch kaam bhi aur zaruri hai
khwahishen jo ghut gayi iss dil mein, unko dafnana baki hai
kuch rishte ban kar toot gaye, kuch judte-judte chhoot gaye
Un toote-chhoote rishton ke zakhmon ko mitana baki hai
tu aage chal main aata hoon, kya chhod tujhe ji paunga?
in saanson par haqq hai jinka, unko samjhaana baaki hai
aahista chal zindagi, abhi kai karz chukana baki hai !!