KHIZAN,SARDIAN, GERMI,BAHAREN, BARISHEN, JARA
MAIN HER MOSAM KA HER HER PAL TUMHARE NAAM KERTA HON

SITARE,TITLIAN, JUGNU,GUL- O-BULBUL, DHANAK,KHOSHBO
YE SARI HUSN KI CHAL BAL TUMHARE NAAM KERTA HON

MERA GUZRA HOWA KAL TO MERE MAZI KA HISA HAI
MAIN APNA AAJ,APNA KAL TUMHARE NAAM KERTA HON

TUMHARE BIN YE HER IK PAL MUJE BECHAIN RAKHTA HAI
MAIN APNA DIL JO HAI BEKAL TUMHARE NAAM KERTA HON

BARASTA BEEGHTA MOSAM HAI KAMZORI MERI LEKIN
MAIN YE SAWAN,GHATA, BADAL TUMHARE NAAM KERTA HON