Hum Duno Ne Ki Jo Muhabbat... Aur Kici Ne Ki Hee Nahin,
Kya Mutlubb.. Array Mutlubb Ye K Tujh Jaisi Koi Thih Hee Nahin.

Aik Mausum Mein Tark-e-Junoon Se.. Koi Bharam Nahin Buntaa Hai,
Agli Bahar Aanay Waali Hai... Chaak-e-Garaibaan Thih Hee Nahin.
...
Maazi O' Haal Juda Bhi Nahin Thay.. Mustaqbil Koi Cheez Na Thah..
Tere Wisaal O' Firagh Se Pehle... Waqt Ki Gardish Thih Hee Nahin..

Dunya Ki Pehli Naari Ne Narr Ka Mutlubb Jaan Liya.....
Aaj Tera Mujh Se Ye Kehna...k Mein Tou Kuch Samjhee Hee Nahin. (Aali)