fine-future Petty Officer 1st Class

Joined: 29 May 2008 Posts: 52
|
Posted: June 06 2008 Post subject: excellent Shairee :) |
|
|
FìN|Ξ¤FùTúr|Ξ
§|v|§
guzRay waqt ko bhula daina bhi aasan nahi hota,
ghamoun ko hansi mein chupa laina bhi aasan nahi hota,
zaRooRi nahi k pooRi ho heR khawahish laikin,
apni khawahish ko daba laina bhi aasaan nahi hota,
mana k tootay huay pholoun say khushboo nahi aati,
magaR unhain kitaboun mein saja laina bhi aasaan nahi hota,
koi auR teRe baad aa sakta ho,
shayad magaR,
haR kisi ko dil mein jagah daina bhi aasaan nahi hota.
FìN|Ξ¤FùTúr|Ξ
§|v|§
kabhi khud he meRe paas aa,
meRi baat sun meRa sath de,
jo khalish hai dil say nikal kaR,
mujhay uljhanoun say nijaat dey,
tujhe sochna meRa mashgala,
tujhe daikhna meRi aaRzoo,
mujhe din de apne khayal ka,
mujhe quRb ki aik Raat de,
meRi zindagi meRe sath chal,
meRe hath main apna hath de,
teRe qadam hain jahan jahan,
meRi manzilen hain wahan wahan,
mujhe dil main apnay panah de,
mujhe paas Rakh meRa sath de.
FìN|Ξ¤FùTúr|Ξ
§|v|§
koi waqt puRana yaad aaya,
koi daur suhana yaad aaya,
auR chawlk say in deewaRoun paR kuch likh kaR jana yaad aaya,
teRa mlna neem k chahowun mein,
auR saR Rakh dena kandhay paR,
meRa yeh kehna koi daikh na ley,
teRa woh ghabRana yaad aaya,
kabhi aisay bhi tou hota tha,
mein tum say milnay jata tha,
jab wapis aanay lagta tha,
teRa hath hilana yaad aaya,
woh waqt gaya lamhay beetay,
ab heR janib tanhaie hai,
woh aik hai manzaR aankhon mein,
'teRa chor k jana yaad aaya.'
FìN|Ξ¤FùTúr|Ξ
§|v|§
darReechay say jhaankti woh ladki ajeeb dukh say bhaRi huee hai...
k us k aangan main phool paR aik titli maRi huee hai...
kabhi azaanoun main khoie khoie kabhi namazoun main Roie huee....
woh aisay dunnia ko daikhti hai, jaisay us say daRi huee...
duRood say mehki mehki saansen, wazeefa parhti huee woh aankhen..
k shamma-e-umeed un main kaye baRas say dhaRi huee hai..
woh dukh ki chadaR main lipti lipti, woh kalay kapdoun main simati simati...
mauhabbat us ne bhi kisi say shayad meRi taRahan hi ki huee hai..
baday zamanoun k bad baRsi hain, meri aankhen kisi k khaatiR...
baday zamanay k bad dil k zameen phiR say haRi huee hai...
Nothing special
FìN|Ξ¤FùTúr|Ξ
§|v|§
teRi mushkil na badhaoun ga, chala jaoun ga,
ashk aankhon mein chupaoun ga chala jaoun ga,
apni dehleez pe kuch daiR padha Rehnay do,
jaisay he hosh mein aaounga chala jaouga,
muddat baad aaya hoon puRanay ghaR mein khud ko jee bhaR k Rulaoun ga,
chala jaoun ga,
in galioun say kuch bhi nahi lena mujh ko
bas tumhain daikhnay aaoun ga,
chala jaoun ga,
tum meRe sang chalo ya na chalo
mein tou awaaz lagaoun ga,
chala jaoun ga,
main ne yeh jang nahi chedhi apne liye,
takhat pey tumhain bithaoun ga, chala jaoun ga. _________________ ƒìN€ ¤ ƒù~|~úr€ |
|